Ek mukhi se chudah mukhi Rudraksha ke phal
Ohm kartikeya uvacha:
Skandh ji ne kaha he-Shivji,ek mukhi,do mukhi,teen mukhi,char mukhi,pach mukhi,chhe mukhi,saat mukhi,aath mukhi,nav mukhi,das mukhi, gyarah mukhi,barah mukhi,terah mukhi,chaudah mukhi, rudraksha ke ek – ek ke prati jo mahagun hai,tinko he bhagwan! he shiv! Mai aapse puchata hu so aap kaho.
Ohm Shiv uvacha :
Shiv ji bole he skandh ji! Vibhinn mukhi rudraksha jis – jis phal ko dene vale hai,usko tum suno.
Ek mukhi rudraksh
Yah sakshat mera hi Shiv swarup hai. Yah rudraksh bada uttam evam pavitra hai ,ek mukhi rudraksh bade hi bhagyashali ko milta hai,eske darshan matra se hi pap se chhutkara mil jata hai. Aur esko dharan karne se sampurn manokamanaye purna ho jati hai.
Do mukhi rudraksh
Do mukhi rudraksh ko Shiv aur shakti swarup mana gaya hai. Ghar yani ardhanareshwar swarup mana gaya hai. Ghar me har prakar ki sukh – suvidha uplabdh rahati hai. Chitt ekagrata, mansik shanti, adhyatmik unnati,kundalini Jagran ke liye yah aachuk mana gaya hai. Shiv aur shakti ki upasana karne vale ko yah rudraksh aavashya hi dharan karna chahiye.
Teen mukhi rudraksh
Teen mukhi rudraksh sakshat teeno devo ka swaroop mana gaya hai yani Bhrma ,Vishnu,Mahesh ka roop hai. Ese dharan karne se Agnidev prasann hote hai.Ye dhan avem vidhya ki vriddhi me sahayak hai.
Char mukhi rudraksh
Char mukhi rudraksh Bhrmaji ka swaroop mana gaya hai.Char mukhi rudraksh dharan karne se Bhrmaji aati prasann hote hai jo manushya ved , puran , sanskrit ke adhyayan hetu eksha rakhte hai, unko char mukhi rudraksh dharan karna chahiye.
Pach mukhi rudraksh
Pach mukhi rudraksh swayam kalagni ke saman rudra mana gaya hai. Esko dharan karne se sarvashaktiman parampita parmeshwar bhagwan Shiv aati prasann hokar har sukh pradan karte hai.
Chhah mukhi rudraksh
Chhah mukhi rudraksh swayam kartikey swaroop hai.Esko apni dayin bhuja (right hand) me dharan karna chahiye.Chhah mukhi rudraksh riddhi – siddhi prapt karne , vyapar me mahan shafalta prapt karne ke liye karna chahiye. Jo manushya chhah mukhi rudraksh dharan karte hai , vah ati budhimaan avem niroogi kaya vale ho jate hai .
Saat mukhi rudraksh
Saat mukhi rudraksha mahasen hai aur ye anant naam se vikhyat hai.Saat mukhi lakshmi ka swaroop bhi mana gaya hai. Jo vaykti saat mukhi ko dharan karte hain,unko vyapar me unnati prapt hoti hai, isliye saat mukhi ko ek baar to avashy hi dharan karna chahiye kyunki saat mukhi rudraksh ko saptrishi swaroop bhi mana gaya hai. Isliye darak arogya avam prashansha ka patra ban jata hai. Esse rank bhi raja ban jata hai.
Aath mukhi rudraksh
Astha mukhi rudraksha sakshat kaal Bhayrav ji aur Ganesh ji ka pratik hai . Iske daran karne se shatru bhi vash me ho jate hai aur ye mangalik karyo ke liye shub mana gaya hai.
Nav mukhi rudraksha
Nav mukhi rudraksha ka naam bhayrav kapil varn hai jo manushya apni dayi bhuja me ise dharan karte hai, vah mere tulya ho jate hai . Nav mukhi lakho hajaro karodo papo ko nash karne vala hai . Yah rudraksha nav durga ka swaroop hai . Esko dayi bhuja me dharan karna chahiye aur nav mukhi rudrakha ko gale me dalkar pratah ” ohm durgay namah ” ka jap karane he ahambhav bhi sambhav ho jata hai .
Das Mukhi rudraksha
Das muhki rudraksha ke pradhan dev bhagwan Jnardan avem daso Dikpal kahe jate hai . Eska dharak ke sarv karya sidh hote hai aur vo sabhi ke prem ka patra ban jata hai . Das mukhi rudraksh ki prapti durbal hai .
Gyarah Mukhi rudraksha
Gyarah mukhi rudraksh purano me jo ekadash rudra varnan kiye hai , so unme se sakshat rudra swaroop hai jo manushy ese aapni shikha me dharan karta hai unke puny ko mai varnan karta hu . Shiv ji bole he skand ji usko tum suno – hazar ashavmedh yagya karne ka jo fal, vajpey yagya karne ka jo fal aur chandra grahan me daan karne se jo prapt hota hai so fal manushy ko ekadash mukhi rudraksh dharan karne se milta hai .
Barah Mukhi rudraksha
Barah mukhi rudraksha sakshat Surya dev ka swaroop maana gaya hai jo manushya ese aapne kanth me dharan karta hai to uske sabhi paap nast (khatam) ho jate hai kyunki Surya se lekar sampurn Aaditya barah mukhi rudraksha me vaas karte hai esliye un manushyo ko chor,agni ka bhay tatha anek prakar ki vyadhi nahi hoti hai aur ve arthvaan hote hai. Barah mukhi rudraksha ko Shikha me dharan karne se sabhi rog dur ho jate hai tatha lok-parlok me sukh ki prapti hoti hai .
Terah mukhi rudraksha
Treyodash mukhi rudraksha sakshat devraj Indra ka swaroop hai . Shivji bole ki he skandhji jo manushya Terah mukhi rudraksha ko dharan karte hai , unki sampurn kamana prapti hoti hai aur atulya bhagywan hote hai . Jo manushya treyodash mukhi rudraksha ko dharan karte hain, ve sampurn papo se aur uppapo se mukt ho jate hain.
Chaudah Mukhi rudraksh
Chaudah Mukhi rudraksha sakshat Hanuman Ji ka swaroop hai jo manushya ese apne mastak par dharan karte hai,vo parampad ke liye prapt hote hain. Shivji bole ki he skandji chaudah Mukhi rudraksha mere netra se prakat huva hai, agar sawbhagya se yah rudraksha prapt ho jaye to sarvottam hai . Chaudah Mukhi rudraksha ke dharan karne se koi kast nahi ho pata hai aur sabhi papo se turant chhutkara dilata hai. Sabhi prakar ki vyadhi ka nash karta hai avem aarogyata ki prapti hoti hai.