Rudraksha ki mala Kaise Dharan kare

rudraksha ki mala
Rudraksha ki mala

Rudraksha ki mala ke fayde

Shiv Puran me Bhagwan Shiv ne Rudraksh ko apna hi ling vigrah mana hai aur kaha hai ki Rudraksha mala dhari ko dekh kar bhoot,preat,pisach, tatha Jo anya hinsak avam vighnkari (negativity)hai,sabhi Dur bhag jate hai . Rudraksha mala dhari prani Ko dekhkar Bhagwan Shiv, Vishnu, Ganesh,Ma Durga, Surya,Yam tatha anya Devta prasena  ho jate hai,isleye Rudraksh mala Ko vidhipurvak Dharan karna chahiye .

Rudraksha Bhagwan Shiv ki amulya den hai. Rudraksha sansarik dukho avem badhao se chutkara dilata hai,esse ham adhyatmik unti prapat kar sakte hai. Rudraksha ki mala pahene se blood pressure, heart disease avem bhoot-bhadha aadi nast hote hai.

Rudraksha Kaise Dharan Kare

Ise grihastha, sadhu aur koi bhi shraddha aevum bhaktipurvak Dharan kar Sakta hai. Sansar me Rudraksha ki mala ke saman koi mala faldai nahi hai. Rudraksha mala Dharm, Arth, Kaam aevum moksha dene vali hai.

Kitne dano ki mala dharan kare

Manav Mukti ke liye 100 Dano ki mala faldai Mani gai hai. Sundar , swasthya evam arogyata ke liye 140 Dano ki mala dharan kare. Arth prapti ki Abhilasha rakhne vale Ko 62 Dano ki mala dharan karni chahiye. Sampurna kamnao ki shidhi ke liye 108 Dane ki mala dharan kare. Jap adi karyo ke liye 108 Dane ki mala hi upyogi Mani gai hai. 54 Dano ki mala adhi aur 28 Dano ki mala Ko sumrani kahte hai.

Rudraksha dharan karte samay dhyan rakhe ki

  • Jo khandit ho unhe dharan na kare
  • Dekh le ki rudraksha nakli to nahi ,yadi nakli hoga to pani me tayrne lage ga aur asli hoga to pani me dub jayega.
  • Jap aadi karyo me chota rudraksha hi vishesh phaldayak hota hai. Aur bada rudraksha rogo par vishesh phaldayi mana jata hai.
  • Rudraksha ke vishay me dharak ko kisi prakar ke bharam me na padkar visvash ke sath dharan karna chahiye. Labh avashya hoga.

Kon sa rudraksha dharan kare yah janne ke liye yaha click kare

Thanks for reading our content.

Leave a Reply

Open chat
1
Surprise🥳
Scan the code
Want a discount